“Mai aik
ese kitab khareedna chahta hun jis mai sada andaz mai bataya gaya ho ke
musalman ka matlab kya hai.”
“Kya ap
gher musalman hain?”
“Je nahe, Allah ke fazal se mai musalman hun. Dar-asal mai pedaishi
musalman hun."
"Muh zubani musalman? Jis ne kalma parhlia wo musalman hai."
"Bilkul mai ne bhi kalma parhlia hai. Mai bhi musalman hun, leken jan’na
chahta hun ke musalman ka matlab kya hai."
"Tou Islam par kitabain parheye."
"Parhe hain, buhat parhe hain. Shayad isi wajah se confuse hogaya hun. Wese
bhi kitab aur cheez hai, musalman aur cheez."
- Excerpts from Talash by Mumtaz Mufti
No comments:
Post a Comment