Friday, September 7, 2012

Shehr e Zaat



Memorable dialogues and quotes from Shehr e Zaat, an inspirational Urdu novel.

N: Allah kay saamnay jhuknay say Insaan chota nahi hojata. Saari ki saari takleefain,mushkilaat Allah hi ki taraf say aati hain aur wohi asaaniyan bhi paida karta hai aur aik baat yaad rakhna beta Allah insaan per takleefon ka utna hi bojh dalt
 a hai jitna bojh uthanay ki Insaan mai sakat hoti hai.
F: Nahi hai mujh mai sakat aur meray saath hi kyun Nani itni bari mushkil?
 N: Allah ki taraf say hi ayi hai na beta wohi asaaniyaan paida karega.

F: Janat aur zameen par? 
B: Tum ne bhi tou zameen mai apne janat bana li hai. 

Allah ki naraz mai jo aik bar ajata hai na wo humesha rehta hai. ~ B

Iske parwah na kar. Bas Allah ki parwah kar. ~ B.

Kyun gandage se darte hai. mai janta hun ke mera rab sirf wujud dekhe ga. ~ B.

Ye tou sirf darwaza hai, darwazay ka kaam rasta dena ya rasta rokna hota hai. Aur is ne tera rasta rok diya hai. Balke sab ka rasta rok diya hai. ~ B.

Ye qul nae hai. Tu qul ki taraf kyun nae jate? Tu wujud ki chah kyun kar rahe hai, zaat ke chah kar zaat ki. ~ B.

Wujud ke naseeb mai hai bhikare ban'na. Zaat bhikare nae ban sakte. Wujud ka kaam hai mangna. Zaat ka kaam hai dena. Mai kya tum kya, sab ko bhikare ban'na pare ga. ~ B.


Koi ishq mangta hai koi duniya mangta hai aur jo ye sab kuch nahe maangta wo khwahish ka khatam hona mangta hai. ~ B.

Wo mere parwah nahe karta.. Ya wese nae karta jese main chahte hun.. Ya phir jese mere khwahish hai. ~ F.



Kabhi paon ki mitti bana dety ho kabhi sar ka taj bana dety ho ~ F.



Pyar kar, pooj mat. ~ N.

Chowbes ghantay tou insan Allah ko sajda nae karta, insan insan ko kitna pooje? ~ N.

F: Nani baaz cheezain Insaan ko itna kiun tarsaati hain milnay say pehlay?
N: Tarsaayain na tu Insaan Rab ko kesay yaad karay beta?

Dil ajeeb sha'ay hai. Ajeeb cheezain mangta hai. Ajeeb cheezain karnay ko kehta hai. ~ F.

Aur jo butt tumne uska bana dia hai na wo jis din toote ge da tumhen bhi buhat takleef hoge aur use bhi aur yeh uske badnaseebi hai. ~ H.

F: Ek din sab kuch badal jae ga.
H: Kuch nae badle ga. Ek din tum badal jao ge. Balke tum tou badal chuke ho.

F: Mai uske mamle mai baybas hun.
H: Tum kabi baybas nae the, na ho. Tumne apne apko baybas karlia hai.

Aur tum ese naive ho ke uske muhabat ke aas lagaye bethe ho. ~ H.

Tume pata hai wo kyn karta hai ye sb kyunke use pata hai tm use kabi nae chor ke jaoge. Isliye wo tume hurt karne mai zara sa nae jijhakta. ~ H.

Mai us se muhabbat karte hun, ye mera gunah hai kya? ~ F.

F: Kya lo ge is painting ka?
H: Tum kya do ge?
F: Kuch bhi
H: Muhabbat de sakte ho apne?

No comments:

Post a Comment