Tuesday, October 9, 2012

Dil e Nadan


Dil e Nadan tujhe hua kya hai
Akhir is dard ke dawa kya hai

Hum hain mushtaq aur wo bayzar
Ya Ilahi ye majra kya hai

Mai bhi muh mai zuban rakhta hun
Kaash pocho ke muda’a kya hai

Jab ke tujh bin nahe koi maujood
Phir ye hangama ay Khuda kya hai

Sabza-o-gul kahan se aye hain
Abar kya cheez hai, hawa kya hai

Hum ko unse wafa ke hai umeed
Jo nahe jantay wafa kya hai

Haan bhala kar, tera bhala hoga
Aur darwesh ki sada kya hai


Jaan tum par nisar karta hun
Mai nahe janta dua kya hai

Mai ne mana ke kuch nahe Ghalib
Muft hath aye tou bura kya hai

~ Ghalib. 


Monday, October 8, 2012

Sahara


Excerpt from ‘Alakh Nagri’

Allah baybasi kay alam mai humare liye aik azeem sahara hai. Thake haray hue bojhal sar ke liye takiya jis pe sar rakh kar hum sukoon pa sakte hain.

~ Mumtaz Mufti. 

Shukar


Shukar ke sahih tareef kya hai? Apne asaishon mai apne pas hasil hone wale naymaton mai un logon ko shareek karna jin ke pas ye asaishen aur naymaten nahe hain. Shukar ka matlab ye bhi hai ke logon ko ap apne amaal se, apne maal se, apne khiyal se asani at’aa karen. Shukar karne wala aik phal-daar shakh hai jo jhuk jati hai. Aur gilla aik bay-samar shakh hai jo atak jati hai.  

~ Wasif Ali Wasif. 

Sunday, October 7, 2012

Kainat ke pedaish - Qiyam aur Harkat


Excerpt from 'Talash'

Kainat ke pedaish ke silsile main Allah ta’ala Quran mai farmate hain, “Pehle qiyam he qiyam tha. Phir hum nee se phoonk mari ke sab kuch mutaharak hogaya. Asmaan alag hogaye. Zameenain alag hogayen. Siyaray bhanbheron ki tarha ghoomnay lagay. Suraj bhar bhar jalne lage. Chand zameenon ke gird chakkar khane lage. Maday ko esa dhachka laga ke aj tak us phoonk ka zor khatam nae hua. Aj bhi kainat bulbulay ki tarha phele jarahe hai Har cheez harkat mai hai. Musalsal harkat.” 

~ Mumtaz Mufti. 

Rukawat aur harkat ka khel


Excerpts from 'Talash'


Kisi ne bootay se pocha: Bootay bootay! Ye bata tu ugnay mai itne der kyun lagata hai?
Boota bola : Is liye ke zameen ki kashish mujhe ugnay nahe dete. Zameen ko bura na kaho. Kyunke agar zameen mujhe ugnay se na rokay tou mai kabhi na ugg sakun.

Rukawat na ho tou harkat mumkin he nahe. Ye qanoon-e-fitrat hai. Rukawaten dar-asal rehmaten hain. Rukawaten harket peda karte hain. Jin ke pohanch jane ka khatra ho unke rastay mai rukawaten ate hain. Agar baray rukawaten khare na karen tou choton mai ehtajaj peda na ho. Revolt na ho. Harkat peda na ho. Aur harkat na ho tou zindagi na ho, kuch bhi na ho. Ye duniya tasveer ki tarha frame mai tangi rahay. 

~ Mumtaz Mufti