Shukar ke sahih tareef kya hai? Apne asaishon
mai apne pas hasil hone wale naymaton mai un logon ko shareek karna jin ke pas
ye asaishen aur naymaten nahe hain. Shukar ka matlab ye bhi hai ke logon ko ap
apne amaal se, apne maal se, apne khiyal se asani at’aa karen. Shukar karne
wala aik phal-daar shakh hai jo jhuk jati hai. Aur gilla aik bay-samar shakh
hai jo atak jati hai.
~ Wasif Ali Wasif.
No comments:
Post a Comment