Excerpts
from 'Talash'
Kisi ne bootay se pocha: Bootay bootay! Ye bata tu ugnay mai itne der kyun
lagata hai?
Boota
bola : Is liye ke zameen ki kashish mujhe ugnay nahe dete. Zameen ko bura
na kaho. Kyunke agar zameen mujhe ugnay se na rokay tou mai kabhi na ugg sakun.
Rukawat na
ho tou harkat mumkin he nahe. Ye qanoon-e-fitrat hai. Rukawaten dar-asal
rehmaten hain. Rukawaten harket peda karte hain. Jin ke pohanch jane ka khatra
ho unke rastay mai rukawaten ate hain. Agar baray rukawaten khare na
karen tou choton mai ehtajaj peda na ho. Revolt na ho. Harkat peda na ho. Aur
harkat na ho tou zindagi na ho, kuch bhi na ho. Ye duniya tasveer ki tarha
frame mai tangi rahay.
~ Mumtaz Mufti
No comments:
Post a Comment